ufuq ufuq nae suraj nikalte rahte hain
diye jalen na jalen daagh jalte rahte hain
miri gali ke makin ye mire rafiq-e-safar
ye log vo hain jo chehre badalte rahte hain
zamane ko to hamesha safar men rahna hai
jo qafile na chalen raste chalte rahte hain
hazar sang-e-giran ho hazar jabr-e-zaman
magar hayat ke chashme ubalte rahte hain
ye aur baat ki ham men hi sabr-o-zabt nahin
ye aur baat ki lamhat Talte rahte hain
ye vaqt-e-sham hai ya rab dil o nazar ki ho ḳhair
ki is samay men to saae bhi dhalte rahte hain
kabhi vo din the zamane se ashnai thi
aur aine se ab ‘aḳhtar’ bahalte rahte hain