yuun hi rakkhoge imtihan men kya
nahin aa.egi jaan jaan men kya
kyuun sada ka nahin javab aata
koi rahta nahin makan men kya
ik zamana hai ru-ba-ru mere
tum na aaoge darmiyan men kya
vo jo qisse dilon ke andar hain
vo bhi laoge darmiyan men kya
kis qadar talḳhiyan hain lahje men
zahr bote ho tum zaban men kya
dil ko shikva nahin koi tum se
ham ne rahna nahin jahan men kya
vo jo ik lafz e’tibar ka tha
ab nahin hai vo darmiyan men kya
mere ḳhvabon ke jo parinde the
hain abhi tak tiri amaan men kya
ab to ye bhi nahin ḳhayal aata
chhoḌ aa.e the is jahan men kya
ye bakheḌa jo zindagi ka hai
chhoḌ duun us ko darmiyan men kya
chand va.ade the chand da.ave the
aur rakha tha dastan men kya
jaane vo dil tha ya diya koi
raat jalta tha sham.a-dan men kya
Leave a Reply