
Poet
ufuq ke us paar kar raha hai koi mira intizar shayad
usi ki janib chali hai shaam o sahar ki ye rahguzar shayad
qafas men dur-o-daraz se bhini bhini ḳhushbu si aa rahi hai
chaman chaman ham ko DhunDti hogi mauj-e-fasl-e-bahar shayad
hazar baar aazma chuka hai magar abhi aazma raha hai
abhi zamane ko aadmi ka nahin hai kuchh e’tibar shayad
na shab ke gesu sanvar sake aur na din ke ruḳh par nikhar aaya
azal se mashshatgi ka har mudda.i hai na-puḳhta-kar shayad
jo har nazar ko bhigo ga.i hai jo har nafas ko Dubo ga.i hai
vahi taghayyur ki mauj ik din banegi vaj.h-e-qarar shayad
vahi hai andaz-e-be-niyazi vahi hai raftar-e-be-shu.uri
abhi tak a.ankhon men maujzan hai ga.e dinon ka ḳhumar shayad
na jaane hadd-e-nazar se Takra ke kyuun tamanna.i lauT aa.e
hudud-e-arz-o-saman ke aage khincha hua hai hisar shayad

Leave a Reply