udhar saba ne khabar di aa kar ki aaj abr-e-bahar aaya
idhar gareban siye hue main chaman men divana-var aaya
dua hai apni yahi shab-e-gham na ho kabhi iztirab-e-dil kam
ye zindagi zindagi kahan phir jo dil ko apne qarar aaya
gila sitam ka jafa ka shikva zaban pe aaya tumhin kaho kab
ye kyuun hai phir ham se sargirani ye dil men kaise ghubar aaya
sukun ho kis tarah mayassar nasib ho chain kaise akhir
na maut aai mariz-e-gham ko na vo shab-e-intizar aaya
na jaane kyuun josh-e-girya ab ke bajae ghatne ke badh raha hai
vagarna mahfil se yuun to teri main barha ashk-bar aaya
Leave a Reply