kaun sa ishq-e-butan men hamen sadma na hua
dard-e-furqat na hua gham na hua kya na hua
ghair ne baat to ki baat to puchhi meri
khair se tum ko to itna bhi saliqa na hua
mahv-e-hairat hain to donon hain tiri mahfil men
ham se parda hua aine se parda na hua
un ki ye khubi-e-akhlaq ki vaada to kiya
meri ye shomi-e-taqdir ki iifa na hua
jazba-e-ishq se ham un ko bula lete ‘rasa’
ye bhi kambakht tabiat ko gavara na hua
Leave a Reply