• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Udas Dekh Ke Wajh-E-Malal Puchhega

Udas Dekh Ke Wajh-E-Malal Puchhega

udaas dekh ke vaj.h-e-malal puchhega

vo mehrban nahin aisa ki haal puchhega

javab de na sakoge palaT ke maazi ko

ik ek lamha vo chubhte saval puchhega

dilon ke zaḳhm dahan men zaban nahin rakhte

to kis se za.iqa-e-indimal puchhega

kabhi to la ke mila mujh se mere qatil ko

jo sar hai dosh pe tere vabal puchhega

ye kya ḳhabar thi ki siine ke daagh lau denge

koi jo mehnat-e-fan ka ma.aal puchhega

tu harf-e-ishq-o-basirat hai lab na si apne

zamana tujh se bhi tera ḳhayal puchhega

mujhe tarash ke rakh lo ki aane vaala vaqt

ḳhazaf dikha ke guhar ki misal puchhega

bana ke phuul ki ḳhushbu phira.egi sadiyon

hava se kaun rah-e-e’tidal puchhega

ye ek pal jo hai maj.hul shaḳhs ki surat

mizaj-e-agahi-e-mah-o-sal puchhega

yahan ta.ayyun-e-aqdar bhi zaruri hai

ḳhud apne mushk ki qimat ghazal puchhega

mira qalam abdiyat ki raushni hai ‘faza’

is aftab ko ab kya zaval puchhega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bana Ke Chaaron Taraf Ek Lakir baiTha Hai

Rang Parida Zulf Pareshan

firaq-gorakhpuri

Lachka Lachka Badan Mujassam Hai Nasim

Chanda Bola Pichhli Raat

poet

Sar-E-Iza-Rasani Chal Rahi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet