• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Abhi Uski Zarurat Thi

Abhi Uski Zarurat Thi

abbas-tabish

saf-e-matam bichhi hai

sukhan ka akhiri dar band hone ki khabar ne

khidkiyon ke paar baithe ghamgusaron ko

ye kaisi chup laga di hai

ye kis ki na-gahani maut par sargoshiyon ki aag raushan hai

kisi ke kunj-e-lab se koi taara mere dil par aan padta hai

bura ho maut ka jis ne mire fariyad-ras ki jaan le li hai

abhi us ki zarurat thi

main is duniya ke ik goshe men baitha sochta huun

aaj is viran mandli men

main kis ko pursa dene ke liye aaya huun

mujh ko taaziyat to khud se karna thi

abhi is ghar se ik mayyat sidhari hai

dam-e-rukhsat

kisi ne nik.hat-e-zulf-e-pareshan ka nahin pucha

kisi ne dukh ke andar raushni ki chhab nahin dekhi

makan se phutne vaali ravish par

ek bachcha ro raha hai

aaj us ke an.suon ko kaun ponchhega

ki us ke saath jo shatranj ki baazi lagata tha

vo ab zer-e-zamin ik chadar-e-sada ki khushbu hai

yahan sub.hen bhi aengi

yahan shamen bhi utrengi

magar ik hichkiyan leta hua bachcha

charagh-e-arzu ban kar

sar-e-taq-e-lahad gungi zamin ki lab-kushai tak pukare ga

bura ho maut ka jis ne mire fariyad-ras ki jaan le li hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Marhale Zist Ke Aasan Hue

Pichhli Shab KHwab Mohabbat Ka Dikhaya Gaya Tha

Qarar-E-Gud-Shuda Mere KHuda Kab Aaega

Mujhe Un Se Mohabbat Ho Chali Hai

poet

Mausam-E-Gul Mein Jo Ghir Ghir Ke Ghataen Aain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet