• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / uDa Sakta Nahin Koi Mere Andaz-E-Shewan Ko

uDa Sakta Nahin Koi Mere Andaz-E-Shewan Ko

uḌa sakta nahin koi mire andaz-e-shevan ko

ba-mushkil kuchh sikhaya hai nava-sanjan-e-gulshan ko

gareban chaak karne ka sabab vahshi ne farmaya

ki us ke taar le kar main siyunga chak-e-daman ko

bahar aate hi baTti hain ye chizen qaid-ḳhanon men

salasil haath ko paanv ko beḌi tauq gardan ko

jhaḌi aisi laga di hai mire ashkon ki barish ne

daba rakkha hai bhadon ko bhula rakkha hai savan ko

dil-e-marhum ki mayyat ijazat do to rakh den ham

tire talve-barabar hi zamin kaafi hai madfan ko

ijazat do to saari anjuman ke dil hila duun main

samajh rakkha hai tum ne hech tasirat-e-shevan ko

suluk-e-pir-e-mai-ḳhana ki ai saaqi talafi kya

ba-juz is ke dua.en do use phaila ke daman ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Munafiqat Ka Har Imkan Dha Ke Nikle The

Patthar Ke Ratjage Meri Palkon Mein gaD Ke

muneer-niyazi

Bebasi

kishwar-naheed

Ek Hi Aawaz Par Wapas Palat Aaenge Log

Zindagi Ek Aag Hai Wo Aag Jalna Chahiye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet