TuTte jism ke mahtab bikhar ja mujh men
main chaḌhi raat ka dariya huun utar ja mujh men
main tiri yaad ke savan ko kahan barsa.un
ab ki rut men koi badal bhi na garja mujh men
jaate qadmon ki koi chaap hi shayad sun luun
Dubte lamhon ki barat ubhar ja mujh men
jaane main kaun se patjhaḌ men hua tha barbad
girte patton ki ik avaz hai har ja mujh men
koi mahkar hai ḳhushbu ki na rangon ki lakir
ek sahra huun kahin se bhi guzar ja mujh men
ḳhatm hone de mire saath hi apna bhi vajud
tu bhi ik naqsh ḳharabe ka hai mar ja mujh men
koi har-gam ‘musavvir’ ye sada deta hai
main tiri aḳhiri manzil huun Thahar ja mujh men
Leave a Reply