• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Naya Ek zaKHm Khana Chahta Hun

Naya Ek zaKHm Khana Chahta Hun

naya ik zaḳhm khana chahta huun

main jiine ko bahana chahta huun

rula deti hai har sachchi kahani

main ik jhuTa fasana chahta huun

mahak se jhuum uThe saara jivan

main aisa gul khilana chahta huun

mohabbat meri behad ḳhud-gharaz hai

tujhe sab se chhupana chahta huun

ye pagal-pan nahin to aur kya hai

main sach-much muskurana chahta huun

bahut ma.asum tha vo daur-e-vahshat

main phir jangal basana chahta huun

khaao ḳhvab ya lahrao saghar

main ḳhud ko bhuul jaana chahta huun

ḳhudaya dard ko de aur shiddat

ki main ab haar jaana chahta huun

vo aa jaa.en to dil par ho na qaabu

vahi qissa purana chahta huun

mire har dukh ka karan hain ye ankhen

main ye dipak bujhana chahta huun

koi shahzad ko mujh paas laa.e

main us ka dukh baTana chahta huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jaan Se Apni Guzarta Kaun Hai

poet

Tum Har Ek Rang Mein Ai Yar Nazar Aate Ho

poet

Jahan Jahan Bhi Hawas Ka Ye Jaanwar Jae

Rut Na Badle to Bhi Afsurda Shajar Lagta Hai

humaira-rahat

Alamiya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet