mahv-e-raqs-e-visal tha kya tha
vo sarapa ghazal tha kya tha
subh-e-raushan kisi ke honton ka
rang kuchh kuchh jo laal tha kya tha
bazm-e-jan men bahut thi khamoshi
jaane us ka khayal tha kya tha
ek jalta hua nasheman tha
vo mire hasb-e-hal tha kya kya tha
sheriyat dhal rahi thi surat men
ya vo raqs-e-jamal tha kya tha
‘nil’ chashm-e-hazin men ye batla
thi vo vahshat malal tha kya tha
Leave a Reply