TuTte hi dam diyon ka ik dhuan paida hua
soch ke sagar se niila asman paida hua
ek muddat se yahi to sochta huun rat-din
main kahan ka aadmi tha aur kahan paida hua
dhuup ki shiddat ne aḳhir haar thak kar maan li
ham jahan Thahre vahin par sa.eban paida hua
tirgi-e-shab ujalon men badal kar rah ga.i
ansuon men ik jamal-e-kahkashan paida hua
Leave a Reply