tum ne sach bolne ki jurat ki
ye bhi tauhin hai adalat ki
manzilen raston ki dhuul huiin
puchhte kya ho tum masafat ki
apna zad-e-safar bhi chhod gae
jaane valon ne kitni ujlat ki
main jahan qatl ho raha huun vahan
mere ajdad ne hukumat ki
pahle mujh se juda hua aur phir
aks ne aine se hijrat ki
meri ankhon pe us ne haath rakha
aur ik khvab ki mahurat ki
itna mushkil nahin tujhe paana
ik ghadi chahiye hai fursat ki
ham ne to khud se intiqam liya
tum ne kya soch kar mohabbat ki
kaun kis ke liye tabah hua
kya zarurat hai is vazahat ki
ishq jis se na ho saka us ne
shaeri men ajab siyasat ki
yaad aai to hai shanakht magar
intiha ho gai hai ghaflat ki
ham vahan pahle rah chuke hain ‘salim’
tum ne jis dil men ab sukunat ki
Leave a Reply