Nawa-E-Waqt Ka Utra Abhi KHumar Nahin

navā-e-vaqt kā utrā abhī ḳhumār nahīñ

abhī talak to mujhe ḳhud pe iḳhtiyār nahīñ

huā hai ye bhī ki sahrā meñ phuul khilte haiñ

safar nasīb ke hisse meñ kyuuñ bahār nahīñ

tilism-e-jān ke sab raaz khol duuñ kaise

nahīñ nahīñ mujhe ḳhud par bhī e’tibār nahīñ

shab-e-siyāh chhupātī hai mere dāġhoñ ko

use ye kah do ki gesū abhī sañvār nahīñ

masāfatoñ kī thakan se ye jism-o-jān hai chuur

safar tavīl hai raste meñ rāhguzār nahīñ

kabhī to tishnagī kam ho hī jā.egī lekin

zamāna biit gayā utre dariyā paar nahīñ

Leave a Comment