deta tha jo saaya vo shajar kaat raha hai
khud apne tahaffuz ki vo jad kaat raha hai
be-samt udanon se pashiman parinda
ab apni hi minqar se par kaat raha hai
mahbus huun gharon men magar azar-e-takhil
chattanon men ashkal-e-hunar kaat raha hai
ik zarb-e-musalsal hai ki rukti hi nahin hai
har tar-e-nafas dard-e-jigar kaat raha hai
hai kaun kamin-gah men ye kaise bataun
har tiir magar mere hi par kaat raha hai
ummid ujale ka liye tesha har ik dil
har raat ba-andaz-e-sahar kaat raha hai
karta hai fuzun vahshat-e-dil dasht ka mausam
‘bilqis’ magar kya karun ghar kaat raha hai
Leave a Reply