Mere Pas Ru Ko Andaza Nahin Tha

mire pas rū ko andāza nahīñ thā

maiñ rasta thā magar sīdhā nahīñ thā

mujhe sūraj pe ye bhī bartarī thī

maiñ raushan thā magar jaltā nahīñ thā

safar kī aarzū kuchh dīdanī thī

maiñ qatra thā magar ruktā nahīñ thā

jaḌeñ thiiñ saaya thā phal phuul bhī the

maiñ jitnā thā faqat utnā nahīñ thā

vo lagtā thā magar aisā nahīñ thā

samundar hī sahī gahrā nahīñ thā

bhaḌak uThā jo tere āñsuoñ se

vo merā zaḳhm thā sho.ala nahīñ thā

vo anhonī thī jo ho kar rahī thī

jo honā thā vahī hotā nahīñ thā

kahāñ kī garmī-e-bāzār duniyā

maiñ sikka thā magar chaltā nahīñ thā

Leave a Comment