haqiqat men vahi ik shaḳhs hai duniya men farzana
jise tum aa.e din kahte ho ye hai koi divana
bharam qaa.em hai tere naam se donon ka duniya men
haqiqat men tira maskan na ka.aba hai na but-ḳhana
dil-e-shaida ki fitrat ko koi samjhe to kya samjhe
ye farzane ka farzana ye divane ka divana
mohabbat ne laga di aag donon ko barabar ki
idhar to sham.a jalti hai udhar jalta hai parvana
na puchho ham se andaza ye hai tauhin piine ki
hamare mai-kade men koi shisha hai na paimana
raza-karan-e-ulfat maut se ḳha.if nahin hote
hamesha aag hi se khelta rahta hai parvana
mazammat mai ki karne aa.e ho maiḳhane men vaa.iz
zara socho to ye bhi kaam hai koi sharifana
tamanna hur-o-ghilman ki mubarak ho tujhe vaa.iz
hamen tu ye bata jannat men hoga koi mai-ḳhana
para.i aag men jalna bahut dushvar hai ‘sahir’
ye kaam insan ko lazim tha magar karta hai parvana
Leave a Reply