tum ko jo mujh se shikayat hai ki shikva na karo
banda-parvar hamen har roz sataya na karo
mehndi mal kar to na aane ka bahana na karo
aaj hai vasl ki shab ḳhun-e-tamanna na karo
tum nikalo mire arman mira matlab ye nahin
mujh ko kahna to ye hai ghair ka kahna na karo
tauba tauba mai-e-ulfat ko batate ho haram
be-piye shaiḳh ji is tarah se bahka na karo
main kahunga tumhen zalim jo sataoge mujhe
tum jo ye sun nahin sakte ho to aisa na karo
haan mire husn ki tarif pe chiḌhte ho agar
a.ina dekh ke phir tum mujhe dekha na karo
apne ashiq se munasib nahin is tarah hijab
aao ankhon men miri shauq se parda na karo
de ga.e alam-e-ruya men ye taskin mujhe
zabt ulfat men hai lazim tumhen roya na karo
kya ghalat hai ye raqibon se nahin rabt tumhen
ye baja tum ne kaha shikva-e-beja na karo
main koi ghair ki hasrat nahin arman nahin
apni mahfil se mujhe yaar nikala na karo
un ki paiman-shikani un ko ye sikhlati hai
karke ushshaq se va.ada kabhi iifa na karo
un ka ghussa nahin kuchh qahr-e-ḳhuda hazrat-e-dil
but bigaḌte hain to hargiz koi parva na karo
ghair se qat-e-ta.alluq men bhala.i hai zarur
haan agar koi bura.i ho to achchha na karo
ḳhaksari ka sikhata hai tariqa mujhe zo.af
kahta hai baiTh ke is bazm se uTha na karo
jaan se apni guzar jaao mohabbat men ‘fahim’
naam agar chahte ho himmat-e-mardana karo
Leave a Reply