tumhen ham chahte to hain magar kya
mohabbat kya mohabbat ka asar kya
vafa ka naam to pichhe liya hai
kaha tha tum ne is se peshtar kya
hazaron baar bigḌe raat bhar men
nibhegi tum se apni umr bhar kya
nazar milti nahin uThti nahin aankh
koi puchhe ki hai madd-e-nazar kya
shikayat sun ke vo ‘beḳhud’ se bole
tujhe ai be-ḳhabar meri ḳhabar kya
Leave a Reply