Tumhaari Zat Ka Pahle Guman Koi Nahin Tha

tumhārī zaat kā pahle gumāñ koī nahīñ thā

hamārā kun se pahle rāz-dāñ koī nahīñ thā

baḌī ḳhush-fahmiyāñ thiiñ saath haiñ ahbāb lekin

jo pīchhe muḌ ke dekhā to vahāñ koī nahīñ thā

Thikāna mil gayā ham ko tumhāre dil meñ āḳhir

ki is se qabl to apnā makāñ koī nahīñ thā

mujhe āvārgī ne jā ke chhoḌā us jagah par

musalsal barf-bārī thī dhuāñ koī nahīñ thā

Leave a Comment