• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chhed Manzur Hai Kya Aashiq-E-dil-Gir Ke Sath

Chhed Manzur Hai Kya Aashiq-E-dil-Gir Ke Sath

poet

chhed manzur hai kya ashiq-e-dil-gir ke saath

khat bhi aaya kabhi to ghair ki tahrir ke saath

go ki iqrar ghalat tha magar ik thi taskin

ab to inkar hai kuchh aur hi taqrir ke saath

pech qismat ka ho to kya kare is men koi

dil ko vabastagi hai zulf-e-girah-gir ke saath

vo bhi kahte hue kuchh duur tak aae pichhe

ham jo us bazm se nikle bhi to tauqir ke saath

ye bhi ik vasl ki surat thi magar rashk-e-nasib

us ki tasvir kabhi ghair ki tasvir ke saath

vada-e-subh pe ab kis ko yaqin ho qasid

aaj to jaan gai nala-e-shab-gir ke saath

kaho ranjish ka sabab kuchh nahin meri hi suno

uzr to chahiye karna mujhe taqsir ke saath

aap dete hain aziyyat hi shikayat ki evaz

kuchh zaban se bhi to farmaiye tazir ke saath

dekhiye mil hi gaya aap se vo shokh ‘nizam’

kaam jo kuchh kare insan sau tadbir ke saath

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Aane Wali Kal Ki De Kar KHabar Gaya Ye Din Bhi

KHWAJA GHULAM FARID

dil-dardon Hun Haari Wo Yar

poet

Na Bachpan Mein Kaho Hum Ko Kadi Baat

poet

Na Aaina Hi Us Surat Ke Aage Hakka-Bakka Hai

Jazbon Se Farozan Hain Dahakte Hue ruKHsar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet