tumhari yaad ke dipak bhi ab jalana kya
juda hue hain to ahd-e-vafa nibhana kya
basit hone lagi shahr-e-jan pe tariki
khula hua hai kahin par sharab-ḳhana kya
khaḌe hue ho miyan gumbadon ke saa.e men
sada.en de ke yahan par fareb khana kya
har ek samt yahan vahshaton ka maskan hai
junun ke vaste sahra o ashiyana kya
vo chand aur kisi asman pe raushan hai
siyah raat hai us ki gali men jaana kya
Leave a Reply