tumhari bazm men mujh tak bhi jaam aaya to
vufur-e-shauq ne koi maqam paaya to
qadam qadam pe hamari hi azma.ish hai
agar tumhen kisi manzil pe azmaya to
ham apni tab-e-nazar se bahut pasheman hain
phir ab ki baar hamen kuchh nazar na aaya to
dil-e-tabah se shayad koi kiran phuTi
harim-e-shauq ka har gosha jagmagaya to
tumhare gham ko mata-e-hayat samjha huun
ba-ittifaq ye gham bhi na raas aaya to
mujhe satao baḌe shauq se satao tum
mujhe sata ke bhi tum ne na chain paaya to
Leave a Reply