aam si hai daraz-qad bhi nahin
par mohabbat ki koi had bhi nahin
sabzi maa.il hai aankh ka adsa
aur us par koi adad bhi nahin
tu ne puchha to kah diya jo tha
ya.ani andar kahin hasad bhi nahin
ab dala.el ki poTli kholen
ye havala to mustanad bhi nahin
zaḳhm silne se kya talafi ho
daḳhliyat ki koi mad bhi nahin
Leave a Reply