• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Lutf-Saman Itab-E-Yar Bhi Hai

Lutf-Saman Itab-E-Yar Bhi Hai

firaq-gorakhpuri

lutf-saman itab-e-yar bhi hai

mahram-e-ishq sharmsar bhi hai

sust-paiman o be-niyaz sahi

husn tasvir-e-intizar bhi hai

kya kare vo nigah-e-lutf ki ishq

shadman bhi hai sogvar bhi hai

gulshan-e-ishq huun khizan meri

vajh-e-rangini-e-bahar bhi hai

uqda-e-ishq ko na tu samjha

yahi uqda kushud-e-kar bhi hai

apni taqdir apne haath men le

shamil-e-jabr ikhtiyar bhi hai

aap apna chadhav apna utaar

zindagi nashsha hai khumar bhi hai

un nigahon men hai shikayat si

ishq shayad jafa-shiar bhi hai

dil se hai duur bhi nigah tiri

dil ke andar hai dil ke paar bhi hai

sar-ba-sar gharq-e-nur ho lekin

zindagi iktisab-e-nar bhi hai

kaun targhib-e-hosh de ki junun

be-khabar bhi hai hoshiyar bhi hai

khalvat-e-husn-o-ishq bhi hai udaas

sard kuchh bazm-e-rozgar bhi hai

raaz us aankh ka nahin khulta

dil shakeba bhi be-qarar bhi hai

khud tujhe bhi hui na jin ki khabar

un jafaon ka kuchh shumar bhi hai

is men lakhon nizam-e-shamsi hain

yuun to dil tira-rozgar bhi hai

is ki zau us ki garmiyan mat puchh

zindagi nuur bhi hai naar bhi hai

ishq-e-hijran-nasib ka bhi hai dhyan

tire vaade ka e’tibar bhi hai

ishq hi se hain manzilen abad

karvan karvan pukar bhi hai

koi samjha use na dekh saka

nigah-e-shokh sharmsar bhi hai

us se chhut kar ye sochta huun ‘firaq’

is men kuchh apna ikhtiyar bhi hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sun Rakha Tha Tajraba Lekin Ye Pahla Tha Mera

saleem-kausar

Charagh-E-Yaad Ki Lau Ham-Safar Kahan Tak Hai

ahmad-ali-barqi-azmi

Mushtahar Nam Karo Tum Mera Akhbaron Mein

aftab-shamsi

Guzarte Lamhon Ka Matam

parvin-sheer

Tah-E-Girdab To Bachna Mera dushwar Hai Phir Bhi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet