zindagi ghamgin hoti ja rahi hai
aarzu rangin hoti ja rahi hai
chand taare asmanon men Tange hain
raat ki taz.in hoti ja rahi hai
zulm phir parvan chaḌhta ja raha hai
zabt ki tauhin hoti ja rahi hai
samt-e-mashriq dekhta huun main ujala
raat ki takfin hoti ja rahi hai
shadman sa hai ‘nizami’ aj-kal vo
ruuh ki taskin hoti ja rahi hai
Leave a Reply