har ashna men kahan khu-e-mehrmana vo
ki bevafa tha magar dost tha purana vo
pukarte hain mah-o-sal manzilon ki tarah
laga hai tausn-e-hasti ko taziyana vo
hamen bhi gham-talabi ka nahin raha yaara
tire bhi rang nahin gardish-e-zamana vo
ab apni khvahishen kya kya use rulati hain
ye baat ham ne kahi thi magar na maana vo
yahi kahenge ki bas surat-ashnai thi
jo ahd tuut chuka yaad kya dilana vo
is ek shakl men kya kya na suraten dekhin
nigar tha nazar aaya nigar-khana vo
bujha diya hai tujhe bhi ‘faraz’ duniya ne
kahan gaya tira har vaqt muskurana vo
Leave a Reply