ḳhud men khilte hue manzar se numudar hua
vo jazira jo samundar se numudar hua
meri tanha.i ne paida kiye saa.e ghar men
koi divar koi dar se numudar hua
charon atraf mire aa.ine rakkhe ga.e the
main hi main apne barabar se numudar hua
aaj ki raat guzari hai diye ne mujh men
aaj ka din mire andar se numudar hua
kya ajab naqsh hai vo naqsh jo is duniya ke
kahin andar kahin bahar se numudar hua
ek sho.ale ki lapak nuur men Dhal kar aa.i
ek kirdar bahattar se numudar hua
haq ki pahchan hui ḳhalq ko ‘azar’ us vaqt
jab ali aap ke bistar se numudar hua
Leave a Reply