tumhare vasl ko va.adon men rakh diya main ne
ki jaise phuul kitabon men rakh diya main ne
charagh pahle munDeron pe main ne rakkhe hain
phir intizar charaghon men rakh diya main ne
ḳhud apne ishq ki shiddat ko azmaya hai
diya jala ke havaon men rakh diya main ne
kisi ka aks na aa.ega aa.ine men mire
tumhare ruup ko ankhon men rakh diya main ne
Leave a Reply