ye kaun kahta hai tu halqa-e-naqab men aa?
shu.ur-e-rang-e-vafa ban ke aftab men aa
faza ko tu ne mo.attar kiya to kya hasil?
maza to jab hai ki phir lauT kar gulab men aa
main lafz lafz men tujh ko talash karta huun
saval men nahin aata na aa javab men aa
ghuTa ghuTa sa na rah tajrabon ke mahbas men
sarir-e-vaqt ki rahon se tu kitab men aa
jala ke taq-e-adam men masarraton ke charagh
tu aarzu ke chamakte hue sarab men aa
falak ki had se pare hai tiri uḌaan to kyaa?
magar kabhi kabhi dharti ke is azaab men aa
naniyat ka nasha ban ke chha na mahfil par
utarna hai to utar kar sharab-e-nab men aa
‘karamat’ aaj zamana jo de raha hai dagha
zara si baat pe hargiz na iztirab men aa
Leave a Reply