• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Uske Lahje Ka Wo Utar Chadhao

Uske Lahje Ka Wo Utar Chadhao

ahmad-javed

us ke lahje ka vo utaar chadhao

raat ki narm rau nadi ka bahao

us ki ankhon ke vasf kya likkhun

jaise khvabon ka be-karan thahrao

un nigahon ki guftugu men hai

niind men gum havaon ka uljhao

us badan ki nazakaten mat puchh

shisha-e-gul men chand ka lahrao

niind ki vadiyon men pichhle pahar

ek lai ek naghma ek alaao

aisi tanhai ka mudava kya

saat dariyaon men akeli naav

un labon ki vo bosa bosa uthan

aur palkon ka nashsha nashsha jhukao

us gali us dayar ki khush-bu

ai subuk-sair narm-gam havao

naujavani men maut ki khvahish

tum hi samjha sako to kuchh samjhao

jaane vo ghuncha kis chaman ka hai

jis men gum hai bahar ka phailao

raat kahti hai mujh ko pyaar se dekh

mujh men hai chashm-e-yar ka gahrao

shola-e-jan hai bujhne ko ‘javed’

aur dil men dahak raha hai alaao

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Sach Hai Wafa Usne Wada Kiya

parveen-fana-syed

dil Jalaya Teri Khushi Ke Liye

Mere Mazar Pe Aa Kar Diye Jalaega

poet

Dard-E-Dil Moatabar Bhi Hota Hai

Raste Manzilon Ke Nauhagar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet