tarvar khinch ham ko dikhate ho jab na tab
kya mar rahe javan ko satate ho jab na tab
taqsir ham se kaun si aisi hui vuqua
munh par jo haath mere dhirate ho jab na tab
az-bas mizaj ham se tumhara kashida hai
azurda baat men hue jaate ho jab na tab
ab to rakha hai kaaT hamara ye aap ne
ghairon se mil patang uḌate ho jab na tab
ik baat ka hamari batangaḌ banate ho
sau jhuuT sach ko apne chhupate ho jab na tab
ai va.izo ye kya tumhen bakvas lag ga.i
meri suno tum apni hi gaate ho jab na tab
ham dard-e-dil kahen to javab is maze se do
qissa ‘muhib’ ye kis ko sunate ho jab na tab
Leave a Reply