jiit kar bhi phir se haari zindagi
puchhiye mat kyuun guzari zindagi
ik mahajan sab ke uupar hai khaḌa
jis ne ham ko di udhari zindagi
chuna kattha lag raha hai aa.e din
paan biiḌi aur supari zindagi
ik taraf mahmud sa andaz hai
ik taraf mina-kumari zindagi
ho ga.i hai is ‘hani’ se bor jab
phir to bas ‘rahat’ pukari zindagi
chain ki phir niind aa.i qabr men
apne tan se jab utari zindagi
Leave a Reply