
Nasir Amrohvi
tumhare siine men dil ke jaisa jo ek patthar dhaḌak raha hai
vo ek patthar na jaane kitne dilon ka markaz bana hua hai
ye chand se bhi hasin-tar hai jo chand jaisa chamak raha hai
firaq ki shab men asman par tumhara chehra Tanga hua hai
dil-e-shikasta ke hauslon ne har ek manzil ko sar kiya hai
tumhare dar tak bhi aan pahunche par is se aage bhi rasta hai
saḌak pe baiThe hue qalandar ke sar paḌe hain saval kitne
zamana us se jo puchhta hai vo us ne mujh ko bata diya hai
tumhari mahfil men aane vaale unhi mohabbat ke dushmanon ne
tumhara mera jo vaqi.a tha use fasana bana rakha hai
ḳhulus-e-yaran ki qadr lekin ḳhulus-e-yaran ka fa.eda kya
main in dilason ka kya karunga ki dard mera bahut baḌa hai
tumhari yadon ke chaḌhte dariya ko ḳhushk-sali se kya ta.alluq
tumhari yadon ka chaḌhta dariya har ek mausam men bah raha hai

Leave a Reply