tumhare shahr men kyon ḳhamushi hai
yahan har aankh men kaisi nami hai
kahin se DhunD kar laao vo lamha
hamari ziist men jis ki kami hai
tira ma.asum lahja kaun bhule
tira to bolna hi sadgi hai
kahin suraj nazar aata nahin hai
hukumat shahr men ab dhund ki hai
kisi ko jaan dene par masarrat
kisi ko jaan lene ki ḳhushi hai
juda.i ka tasavvur saath rakhna
mohabbat men juda.i lazmi hai
Leave a Reply