tumhare dil ki tarah ye zamin tang nahin
ḳhuda ka shukr ki paanv men apne lang nahin
ajiib us se ta.alluq hai kya kaha jaae
kuchh aisi sulh nahin hai kuchh aisi jang nahin
koi batao ki is aaine ka mol hai kya
jis aaine pe nishan-e-ghubar-o-zang nahin
mira junun hai kotah ya ye shahr-e-tabah
jo zaḳhm-e-sar ke liye yaan talash-e-sang nahin
hain saare qafila-salar sab hain rah-numa
ye kya safar hai jo koi kisi ke sang nahin
jo kuchh mata-e-hunar ho to samne laao
ki ye zamana-e-iz.har-e-nasl-o-rang nahin
Leave a Reply