tumhara zauq-e-parastish mujhe aziiz magar
main is zamin ki mitti mujhe khuda na kaho
tumhare saath agar do-qadam bhi chal na sakun
to khasta-pa huun mujhe mujrim-e-vafa na kaho
ye ek pal ki dhadakti hayat bhi hai bahut
tamam-umr ke is rog ko bura na kaho
is ek khauf se lab si liye tumhare huzur
ki harf-e-shauq ko izhar-e-muddaa na kaho
ye be-rukhi ka gila mujh se pahle khud se karo
use nigah ka yak-tarfa faisla na kaho
guzarte vaqt ke marham se bhar na jaae kahin
is ek zakhm ko chahat ki intiha na kaho
main ek zinda haqiqat huun ek pal hi sahi
tumhara aks huun tum to mujhe fana na kaho
Leave a Reply