• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Tumhaara Shahr

Tumhaara Shahr

ali-sardar-jafri

tumhara shahr tumhare badan ki khushbu se

mahak raha thaa, har ik baam tum se raushan tha

hava tumhari tarah har ravish pe chalti thi

tumhare honton se hansti thiin narm-lab kaliyan

ata hui thi sahar ko tumhari sim-tani

mili thi shaam o shafaq ko tumhari gul-badani

tumhara naam tasavvur bhi thaa, takhayyul bhi

yaqin bhii, shauq bhii, ummid bhii, tamanna bhi

saji thi zulf-e-javan aarzu ke phulon se

umid-var the har samt ashiqon ke giroh

magar ye kya hai ki har kucha aaj viran hai

gali gali men hain faulad-pa siyah ifrit

chaman chaman men sadi laash ka taaffun hai

havaen garm hain barud ka andhera hai

khabar nahin ki yahan se kidhar ko jaana hai

tumhara shahr, tumhare badan ki khushbu ko

taras raha hai, har ik baam tira-e-saman hai

na raushni hai, na nikhat, na naghma hai, na nava

har ik ravish pe hava chal rahi hai nauha-kunan

sahar ki gul-badani hai lahu ka pairahan

na shaam hai na sahar sirf ik siyah kafan

tumhare shahr ki uryaniyon ko dhanpta hai

khabar nahin ki yahan se kidhar ko jaana hai

vo ik julus sa ik mod par nazar aaya

koi aziim janaza guzarne vaala hai

hava men nala-o-fariyad ki hai kaifiyat

har ek aankh men ansu, har ek hont pe aah

dilon ka nauha-e-gham siskiyon men dhalta hai

vo dard hai ki koi khul ke ro nahin sakta

magar janaza kahin bhi nazar nahin aata

kafan-farosh bhi hain, gorkan bhi hain lekin

koi bata nahin sakta ki kis ki mayyat hai

koi bata nahin sakta kidhar gaya tabut

koi bata nahin sakta kahan hai qabristan

chalo qarib se dekhen ye bad-nasib hain kaun

clerk hain jo abhi daftaron se nikle hain

tamam ek si shaklen hain hindison ki tarah

kisan hain jo abhi ketiyon se palte hain

nikal ke aae hain mazdur kar-khanon se

aur un ki pusht pe afsurda kholiyon ki qatar

suron pe udte dhuen ke siyah-rang alam

barhana bachchon ke rone ki dardnak sada

julus-e-gham hai janaza ba-dosh chalta hai

magar janaza kidhar hai nazar nahin aata

khabar nahin ki yahan se kidhar ko jaana hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mushkilon Mein Muskurana Sikhiye

Hawa Se Kaise Kahun Kya Mila Bujhane Se

Mera Darman Hai Na Kabe Mein Na but-KHane Mein

shah-naseer

Khaal-E-Mashshata Bana Kajal Ka Chashm-E-Yar Par

poet

Tera KHayal Tha Lafzon Mein Dhal Gaya Kaise

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet