gar koi kaat le sar bhi tire divane ka
par ye sauda-e-mohabbat hai nahin jaane ka
mast rakh yaad men us chashm ki ta-roz-e-jaza
munh na dikhla mujhe ya-rab kisi mai-khane ka
mere dil ko bhi na hove havas-e-bosa agar
ashna lab se tire lab na ho paimane ka
husn aur ishq ka mazkur na hove jab tak
mujh ko bhata nahin sunna kisi afsane ka
kyuun na muztar huun use dekh ke dekho to sahi
shama ke samne kya haal hai parvane ka
haath uthta nahin ai yaar jo suljhane se
dil tiri zulf se uljha hai magar shane ka
go ki mar jaae tire ishq men ‘joshish’ lekin
shikva-e-jaur-o-jafa munh pe nahin laane ka
Leave a Reply