ab kisi andhe safar ke liye tayyar hua chahta hai
ik zara der men ruḳhsat tira bimar hua chahta hai
aḳhiri qist bhi sanson ki chuka dega chukane vaala
zindagi qarz se tere vo subuk-bar hua chahta hai
raz-e-sar-basta samajhte rahe ab tak jise ahl-e-danish
munkashif aaj vahi raaz sar-e-dar hua chahta hai
dil-e-vahshi ke bahalne ka nahin ek bhi saman yahan
mahfil-e-zohd-e-mizajan se ye bezar hua chahta hai
dekh leni thi tujhe sina-e-afat-zadagan ki saḳhti
tera har tir-e-hadaf-kar hi bekar hua chahta hai
phailte shahron ke jangal men ye gharon ki tarah tang makan
ḳhuun men vahshi-e-ḳhvabida bhi bedar hua chahta hai
dard-e-dil banTta aaya hai zamane ko jo ab tak ‘anjum’
kuchh hua yuun ki vahi dard se do-char hua chahta hai
Leave a Reply