tum na ghabrao mire zaḳhm-e-jigar ko dekh kar
main na mar ja.un tumhari chashm-e-tar ko dekh kar
zaḳhm taaza kar raha huun charagar ko dekh kar
rasta main ne badal Daala ḳhizar ko dekh kar
zindagani ik fareb-e-da.imi hai sar-ba-sar
mujh pe ye zahir hua sham-o-sahar ko dekh kar
garche un se koi ummid-e-vafa mujh ko nahin
ji bahal jaata hai phir bhi nama-bar ko dekh kar
aaj insan se hai insan barsar-e-paikar yuun
al-aman shaitan paḌhe ḳhu-e-bashar ko dekh kar
aadmi men adamiyat ka nishan baaqi nahin
bech Daala is ne iman sim-o-zar ko dekh kar
asman tak to ham ai ‘rif.at’ rahe garm-e-ḳhiram
us se aage chal na paa.e rahbar ko dekh kar
Leave a Reply