Tum Mere Sath Bhi Juda Bhi Ho

tum mere saath bhī judā bhī ho

tum mirā dard bhī davā bhī ho

tum safīna bhī nāḳhudā bhī ho

tum talātum bhī aasrā bhī ho

DhūñDhtā huuñ kahāñ kahāñ tum ko

rāhzan tum ho rahnumā bhī ho

tum hī ho merī garmi-e-āġhosh

mere pahlū kā tum ḳhalā bhī ho

dil ke rukne kī ho tum hī āvāz

dil kī dhaḌkan kī tum sadā bhī ho

pī ke sarshār bhī huuñ pyāsā bhī

tishnagī bhī ho tum nasha bhī ho

Leave a Comment