tum kya jaano pyaar mohabbat ishq nibhana kya hota hai
tum kya jaano rasta takte umr bitana kya hota hai
masjid mandir girja-ghar men ashk bahana kya hota hai
tum kya jaano raat tahajjud haath uThana kya hota hai
ḳhud ko miTTi miTTi kar ke aahen girya zaari shor
tum kya jaano ruThne vaale yaar manana kya hota hai
tum kya jaano zaḳhmi ankhen ḳhvab bikhar jaane ka dukh
tum kya jaano hijr ke aansu dard uThana kya hota hai
jaan se pyare de kar tum ko jaan mana luun bolo bhi
tum kya jaano jaan se pyare jaan se jaana kya hota hai
Leave a Reply