zaban-e-sham.a khulti hai na kuchh parvana kahta hai
magar saara zamana bazm ka afsana kahta hai
ba-qadr-e-zarf qismat mere saaqi ki inayat hai
koi paimana kahta hai koi mai-ḳhana kahta hai
hijab-e-lala-o-gul ko mah-o-anjum ke parde ko
vahi kahta huun main jo jalva-e-janana kahta hai
shab gham men jo apne dil se kuchh kahne ko kahta huun
to jis se baḳht so jaa.e vahi afsana kahta hai
ḳhuda kahte hain kah lene do tum arbab-e-millat ko
mohabbat to yahi kahti hai jo divana kahta hai
yahi iman-e-masti hai yahi hai diin maston ka
vahi hota hai jo kuchh saqi-e-mai-ḳhana kahta hai
yahi ‘kaifi’ yahi hai be-piye saaqi ka matvala
qadam mastana rakhta hai suḳhan mastana kahta hai
Leave a Reply