• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tum Bhi Rahne Lage Khafa Sahab

Tum Bhi Rahne Lage Khafa Sahab

momin-khan-momin

tum bhi rahne lage khafa sahab

kahin saaya mira pada sahab

hai ye banda hi bevafa sahab

ghair aur tum bhale bhala sahab

kyuun ulajhte ho jumbish-e-lab se

khair hai main ne kya kiya sahab

kyuun lage dene khatt-e-azadi

kuchh gunah bhi ghulam ka sahab

haae ri chhed raat sun sun ke

haal mera kaha ki kya sahab

dam-e-akhir bhi tum nahin aate

bandagi ab ki main chala sahab

sitam azar zulm o jaur o jafa

jo kiya so bhala kiya sahab

kis se bigde the kis pe ghussa tha

raat tum kis pe the khafa sahab

kis ko dete the galiyan lakhon

kis ka shab zikr-e-khair tha sahab

nam-e-ishq-e-butan na lo ‘momin’

kijiye bas khuda khuda sahab

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Guzre Waqton Ki Wo Tahrir Sambhaale Hue Hain

ain-tabish

Bazm Khaali Nahin Mehman Nikal Aate Hain

Kal Raat Sehn-E-Dil Mein Tha Harjaiyon Ka Raqs

insha-allah-khan-insha

Ji Chahta Hai Shaikh Ke Pagdi Utariye

KHud-Agahi Ka Ajab Rog Lag Gaya Hai Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet