• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tum Apne Husn Pe Ghazlen paDha Karo baiThe

Tum Apne Husn Pe Ghazlen paDha Karo baiThe

tum apne husn pe ghazlen paḌha karo baiThe

ki likhne vaale to muddat se hosh kho baiThe

taras ga.i hain nigahen ziyada kya kahiye

sanam sanam rahe behtar ḳhuda na ho baiThe

ḳhuda ke fazl se ta.alim vo hui hai aam

ḳhirad to ḳhair junun se bhi haath dho baiThe

bura kiya ki talatum men na-ḳhuda.i ki

kinara bhi na mila naav bhi Dubo baiThe

mariz-e-ishq ka jaldi janaza niklega

kuchh aur der pata puchhte raho baiThe

tamam shahr men banTi hai dard ki ḳhairat

ham us ki diin ko dil men nahin samo baiThe

tumhari bazm bahut tang aur dasht vasi.a

chale to aa.e ghaḌi-do-ghaḌi hi go baiThe

bujhi na atish-e-dil hi kisi tarah ‘rahil’

vagarna yaar to ankhen bahut bhigo baiThe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hafiz Shirazi

Shagufta Shud Gul-e-Hamra-O-Gasht Bulbul Mast

Akele Rahne Ki KHud Hi Saza Qubul Ki Hai

Kabhi Sukun Kabhi Sabr-O-Qarar TuTega

shakeel-badayuni

Aankh Se Aankh Milata Hai Koi

TuTi Mez Aur Jali Kitaben Rah Jaengi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet