tum apne aap par ehsan kyuun nahin karte
kiya hai ishq to elaan kyuun nahin karte
saja.e phirte ho mahfil na jaane kis kis ki
kabhi parindon ko mehman kyuun nahin karte
vo dekhte hi nahin jo hai manzaron se alag
kabhi nigah ko hairan kyuun nahin karte
purani samton men chalne ki sab ko aadat hai
na.i dishaon ka vo dhyan kyuun nahin karte
bas ik charagh ke bujhne se bujh ga.e ‘danish’
tum andhiy.on ko pareshan kyuun nahin karte
Leave a Reply