raat si niind hai mahtab utara jaa.e
ai ḳhuda mujh men zar-e-ḳhvab utara jaa.e
kya zaruri hai ki naav ko bachane ke liye
har musafir tah-e-girdab utara jaa.e
roz utarta hai samundar men sulagta suraj
kabhi sahra men bhi talab utara jaa.e
sau charaghon ke jalane se kahin achchha hai
ik sitara sar-e-mehrab utara jaa.e
pattharon men bhi ka.i pech paḌe hain ‘shahid’
un pe bhi mausam-e-shadab utara jaa.e
Leave a Reply