jitne marka-e-dil vo lagatar gaya
jis ghadi fat.h ka ailan hua haar gaya
thak ke laut aae alam-dar-e-masavat akhir
duur tak silsila-e-andak-o-bisyar gaya
jis ko sab sahal-talab jaan ke karte the gurez
ik vahi shakhs su-e-manzil-e-dushvar gaya
in dinon zehn ki duniya men hai masruf bashar
dil ki tahzib gai dard ka bevhar gaya
ham gunahgaron se ba-maani raha hashr ka din
varna ye saara hi mansuba tha bekar gaya
‘saz’ hai dil-zada ab bhi tire sheron ke tufail
ham to samjhe the ki ai miir ye azar gaya
Leave a Reply