Tuk honT hila.un to ye kahta hai na bak be
aur paas jo baiThun to sunata hai sarak be
kahta huun kabhi ghar men mire aa to hai kahta
chaukhaT pe hamari koi din sar to paTak be
jab badr nikalta hai to kahta hai vo maghrur
kah do use yaan aan ke itna na chamak be
parda jo ulaT dunga abhi munh se to dam men
uḌ ja.egi chehre ki tire sab ye jhamak be
sab bankpan ab tera ‘nazir’ ishq ne khoya
kya ho ga.i sach kah vo teri duut dubak be
Leave a Reply